Aqwal e Nabi s.a.w: In English

In English


1.Hazoor S.A.W. ne farmaya: Jab Adam se khata hui to unhon ne Toaba karney k liay kaha tha “Aey Khuda men tujh se sawal karta hun k Muhammad S.A.W aur un ki aal k huq k sadqey men mujhey maaf farmadey to Khuda ne unhen maaf kar dia tha aur jab Hazrat Nooh kashti men gharq honey se darey to kaha “Aey Khuda ba huq-e-Muhammad Wa Aal-e-Muhammad mujhey gharq honey se nijaat de” Khuda ne unhen nijat di aur jab Hazrat Ibraheem ko aag men daala gya to unhon ne kaha “Aey Khuda Muhammad Wa Aal-e-Muhammad k sadqey mujhey aag se nijaat de” to Khuda ne un ki aag ko sard kar dia aur jab Hazrat Moosa ne asaa maara aur darney lagey to kaha “Aey Khuda men tujhey Muhammad Wa Aal-e-Muhammad ka waasta daita hun k mujhey is khof o hiraas se nijaat ata farma” to Khuda ne farmaya “Mat dar kyun k tu hi buland o kaamyab hoga (Sura Taaha Ayat 6. (Mnaqibe Ahlebait Hisa 1 Safha 100, Imaali Shekh Sudooq 287 hadees 4 Majlis 39, Bihaar 16/366 hadees 72, Alahtajaj 1/54)


2. Hazoor S.A.W ne farmaya: Hussain jannat k darwazon men se aik darwaza hai jo bhi is ki mukhalifat karey ga Khuda ne is par jannat ki khushbu haram kardi hai (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 124, Bihaar 35/405)

3. Hazoor S.A.W ne farmaya: Ahlebait ki muhabat k baghair imaan mukamal nahi hota aur ye Khuda Tabarak wa taala ka mujh se waada hai k Ahlebait k saath mutaqi momin k siwa koi muhabat nahi karey ga aur siwaey shaqqi aur munafiq k hamarey sath koi bhi dushmani nahi rakhey ga. Pus khush qismat hai wo shaks jis ne meri aolaad men se Aaima AS k saath naata jora.( Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 125, Bihaar 36/332, Kifatul Asar)

4. Hazoor S.A.W ne farmaya:Har cheez ki aik bunyaad hoti hai aur Islam ki bunyad Hum Ahlebait ki muhabat hai (Imaali Suduq 161, Almahasin 286, Alkafi 46/20, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126)

5. Hazoor S.A.W ne farmaya: Khuda ka zikr ibadat hai, Maira zikr ibadat hai, Ali ka zikr ibadat hai aur meri aulad men se imamon ka zikr ibadat hai (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126, Ikhtesas Shekh Mufeed, Bihaar 36/370)

6. Hazoor S.A.W ne farmaya: Is zaat k huq ki qasam jis ne mujhey risalat par mab’oos farmaya aur apni makhlooq se afzal qarar dia maira wasi aur janasheen tamam ausia se afzal hai aur wo Khuda ki taraf se is k bandon par hujjat aur makhlooq k darmayan us ka janasheen hai aur is k aulad se hidayat karney waley hen. In k waastey se Khuda ahle zameen se azaab ko door karta hai aur inhi k sabab se aasmaan ko zameen pe girney se mehfooz rakha hua hai magar is ki ijazat k saath. Inhi k sabab se bandon ko baaran-e-rehmat se sairaab karta hai. In k sabab se darakht, phul aur doosri bootiyan ugaata hai (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126, Ikhtesas Shekh Mufeed, Bihaar 36/370)

7. Hazoor S.A.W ne Sura Burooj Ayat 1 ki tilawat ki “is aasmaan ki qasam jo burjon wala hai” aur farmaya: Aasmaan se muraad men hun aur burjon se murad merey baad Aaema hen. In men se pehla Ali aur in ka akhir Mehdi hai (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126, Ikhtesas Shekh Mufeed, Bihaar 36/370)

8.Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Beshak Ali, Sardaar ul Anbiya ki naikiyon me se aik naiki hai. (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 147 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira, Shar ul Asmaa sfha 23)

9. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Agar kisi k paas Mera naam lya jaey aur wo mujh par darood na bhejay to Khuda usey jahanum men daakhil karey ga aur isey apni rehmat se door kar deta hai (Imaali Shekh Sudooq 676, Bihaar 49/94 Hadees 7, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 152 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira).

10. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Agar meri ummat men se koi shaks mujh par darood bhejay aur meri aulaad ko bhi is men shamil karay to aasmaan k darwazey is par khol diay jaatey hen aur farishtey is par 70 martaba darood bhejtay hen agarcha wo buhat zida khatakaar aur gunahgaar kyun na ho is k sabab is k tamam gunah gir jaatey hen jaisay darakht k pattay girtay hen. (Imaali Shekh Sudooq 675 Hadees 18, Bihaar 56/94 Hadees 30, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 154 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira).

11.  Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Jo koi bhi mujh par shoq aur muhabbat se 3 baar darood bhejay to wo is laaeq hota hai k Khuda us k din aur raat k gunahaon ko maaf farma daita hai (Bihaar 70/94 Hadees 63, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 156 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira).

12. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Shaitan 2 tarah k hen, Aik jin se hai wo to La Hoala Wala Quwwata Ilaa Billah Hil Ali alzzeem k parhnay se bhaag jaat hai aur doosra Shaitan insan se hai aur wo Nabi aur un ki aal par darood bhejnay se bhaagta hai (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira).

13. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Jo koi mujh par aik baar darood bhejta hai Allah us par aafiyat ka darwaza khol daita hai (Jaamiul Akhbar, Bihar 63/94, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira)

14.Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Qayamat k din meray nazdeek tareen shaks wo hoga jo mujh par sab se zyada darood bhejta hoga (Almustadraak, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira)

15. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Men ne aalam e arwaah men apnay chacha Hamza aur bhai Jaffer ko buhat naimaton se maal a maal daikha. Unhon ne kaha k hum ne afzal tareen amal Aap S.A.W.W par darood, pyason ko paani pilana aur Ali Ibn e Abi Talib AS ki dosti ko paaya (Bihar 70/94, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira)

16. Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Mairaj ki raat baarish, khuski aur tari men paani k qatron ko shumaar karnay waaley farishtay ne mujh se kaha k men har cheez ka hisab kar sakta hun magar jab aik garoh mil kar Aap S.A.W.W par darood bhejta hai to men is k sawab ka shumar nahi kar sakta (Tafseer e Abul Fatooh, Al Mustadraak, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157 tarjuma Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal itrat Ayatullah Ahmad Mustanbat Quds Sira)

17. Hazoor SAWW ne farmaya: jo koi apni tehreer men mujh par darood parhnay ka tazkira karay ga to jab tak mera naam uss tehreer men baaqi rahay ga farishtay is k liay astaghfaar kartay rahain gay (ALQATRAT O MIN BIHAAR E MANAQIB E ALNABI WAL ITRAT Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 171).

18.  Hazoor SAWW ne hazrat Ali AS ko galay laga kar chehray ko bosaa diya aur farmaya: Meray Maa’n baap qurban is par jis k zariyay se khuda ne meray baazoo ko taaqat di jaisay k Moosa k baazu ko Haroon k zariyay se taaqatwar kiya (Bihaar, Tafseer e Burhaan, ALQATRAT O MIN BIHAAR E MANAQIB E ALNABI WAL ITRAT Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 176).

19. Hazoor SAWW ne farmaya: Jo Ali ko dost rakhay wo qayamat k din anbiya k saath mahshoor hoga aur in k darjaat men qaraar paaey ga aur Jo Ali k saath dushmani rakhtay huay is dunya se jaaey ga is ki koi parwaah nahi hai k wo is dunya se yahoodi maray ya nasraani maray (Ayun e Akhbar e Raza Shekh Suduq , Bihaar, ALQATRAT O MIN BIHAAR E MANAQIB E ALNABI WAL ITRAT Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 180)

20. Hazrat Muhammd S.A.W ne farmaya: Jab qayamat ka din hoga to aik munadi awaz daiga k “Zainul Abideen” kahan hain. Main apne farzand Ali ibn hussain ibn Ali Ibn Abu Talib ko daikh raha hun k ahl-e-mehshar ki safon ko cheertay aur jhoomtey huay aa rahey hen.
(Bihar Safha 9 Hisa 6 Dar Halaat Imam Zainul Abideen AS, Alal Sharae Safha 87, Imali Shaikh Sudooq Safha 331,) .

Copyright © Aqwal e Nabi s.a.w Urang-kurai