1.Rasule Khuda (SAWW)Jo koi Subhanallah kahega Allah uske liye Jannat me har tarah ke fal (fruit) wale 10 darakht lagayega.
Source : Uddatud Dai
2. Rasule Khuda (SAWW)Jo koi sone se pehle Sure Takaasur (sura no. 102) ki tilawat karega, wokabr ki takleef se mehfooz rahega.
Source : Uddatud Dai
3. Rasule Khuda (SAWW)Allah ke 99 naam hai, jo koi usay in namo’n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat me daakhil hoga.
Source : Uddatud Dai
4. Rasule Khuda (SAWW)Jo koi kabrastan me daakhil hokar Sure Yasin padhta hai, Allah wahan k sab marhumin par us din azaab kam karta hai, aur us shaks k liye wahandafan marhumin ki ginti k barabar hasnaat likhe jayege.Source : Uddatud Dai (Hadees 375)
5. Rasule Khuda (SAWW)Jo shakhs is duniya me bade maze ke saath behuda baatein aur gaali galoch karta hai, jahannum mein uske mooh se puss aur khoon bahega.
Source : Greater Sins 1 (Qazaf)
6. Rasule Khuda (SAWW)Agar aap MUSTAHAB namaz padh rahe ho aur agar aap ke waalid (baap) aap ko bulate hai to namaz mat todo; magar aap ki MAA agar bulati hai to namaz tod do.
Source : Greater Sins 1 (Aaq-e-Waledain)
7. Rasule Khuda (SAWW)Wo jo kisi jaadugar, ojha, kaazib ke paas jaata hai aur uske kahe ko sach qaraar deta hai, wo Allah ki sab kitabo’n ki nazar me KAAFIR ho gaya.Source : Greater Sins 2 (Sorcery)
8. Rasule Khuda (SAWW)Kisi shaadi-shuda ki 2-rakat namaz, ek gair shaadi-shuda ki raat bhar ki ibaadat aur 1 din ke roze se behtar hai.
Source : shiarightpath.quran (24:32)
9. Rasule Khuda (SAWW)Apni namaz ke baad 30 baar kaho: Subhanallahi Walhamdulillahi Wa Laailaaha Illallahu Wallahu Akbar…ye alfaaz aadmi ko dukh se, deewar ke girne se, aag se, paani me doobne se, junglee janwar ke humle se, kharab maut se aur din me aasman se naazil honewali balaa se mehfooz rakhte hai.
Source : Uddatud Dai
10. Rasule Khuda (SAWW)Wo muslim jo haisiyat ke bawajood, qarz chukane me DERI karta hai, usne tamaam muslimo’n par ZULM kiya.
Source : Greater Sins II
11.Rasule Khuda (SAWW) Jo muslim subh sadiq se suraj nikalne tak apne musalle par baitha rehta hai (Ibaadat & Tilawat karta hai) Allah ose jahannam ki aag se bachaega.
Source : Children’s Guide to Islam
12. Rasule Khuda (SAWW) Jab tak momin 5 waqt ki namaz ko pabandi e waqt se padhta hai to shaitan us say khauf-zada rehta hai. (Wasael us Shia)Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)
13. Rasule Khuda (SAWW) Roze qayamat Khuda k nazdeek sabse azeem manzilat us shakhs ki hogi jo rooye zameen par logo’n ko sabse ziyada nasihat karta raha hai.
Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
14. Rasule Khuda (SAWW) Jawani ko budhape se pehle, sahet ko bimari se pehle, fursat ko masrufiat se pehle, taakat ko kamzori se pehle & zindagi ko maut se pehle Ganimat samjho (aur uska faydaa uthao)Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
15. Rasule Khuda (SAWW) Muslim wo hai ke jiske haath aur zabaan se musalman salamat hai.Source : Children’s Guide to Islam
16. Rasule Khuda (SAWW)Ya ALi(a.s) Main Tum, Tumharey Dono Farzand Hassan(a.s) Hussain(a.s) Or AuLad.E.Hussain Ke 9 Farzand(a.s) Deen K Arkan Or IsLam K Saton Hain, Jo Hmara Itbaa Kry Ga Nijat Paye Ga, Jo Hum Se Alag Ho Ga Is Ka Anjam Jahanum Ho Ga.
Book Ref: AQwaL.E.Masomen(a.s).
17. Rasule Khuda (SAWW) Jiske dil me zarra baraabar bhi takabbur hoga, wo Jannat me daakhil nahi hoga.
Source : Children’s Guide to Islam
18. Rasule Khuda (SAWW) Be Shak Humara Shia Woh Hai Jo Humari Pervi Kary, Humary Naqsh-E-Qadam Par Chalay, aur Humara Kirdar Ko Apnaye,
Ref= Mizan Ul Hikma Jild 6
19.Hazoor S.A.W ne farmaya: Khuda ka zikr ibadat hai, Maira zikr ibadat hai, Ali ka zikr ibadat hai aur meri aulad men se imamon ka zikr ibadat hai (
ref# Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126, Ikhtesas Shekh Mufeed, Bihaar 36/370).
20. Hazoor S.A.W ne farmaya:Har cheez ki aik bunyaad hoti hai aur Islam ki bunyad Hum Ahlebait ki muhabat hai
ref#(Imaali Suduq 161, Almahasin 286, Alkafi 46/20, Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 126)